Kabse Kehane Ki Himmat Juta Raha Hoon
Ke Tumse Kitani Mohabbat Hain.
Jaane Aaj Aisa Kya Hua
Ke Dil Ne Kaha Keh Hi Daloon.
Jab Kitab Ke Panno Ki Safedi
Tumhare Chehare Par Chamkti Hain
Dil Ruk Sa Jata Hain.
Jab Hassi Ki Thandi Leher Mere Kaano Tak Aati Hain
Waqt Tham Sa Jata Hain.
Jane Aaj Aisa Kya Hua Hain
Ke Dil Ne Kaha Keh Hi Dalu
Ke Ha Muze Tumse Mohabbat Hain.
No comments:
Post a Comment